Sunday, May 13, 2012

ab to khud ko bhi kuch nahin bolta hoon main

aaj har ek shahh paane ke liye tarasta main
kuch khwaboon ke toot jaane par tutata main
apni hasratoon se aankh micholi khelta main
apni khoyi tamanaoon ko hoon dhoondta main

shayad pata hi nahin kya talashta hoon main
pyaas lage to samandar ki aur daudta main
jahan zaroorat mujhe bas ek dariya ki thi
wahan kyon khara paani haath mein leta main

sabko hai pata samandar pyaas nahin bujhata
phir bhi kyon ussi mein tripti dhoondta main
hai chullu bhara ussi samandar se phir maine
use khud pe udel kar kyon pyaasa tadapta main

sulag raha yeh mera sukhta jigaar jaane kabse
yeh bujh na jaaye issi jatan mein rehta main
shayad takleef yeh bahut pyaari hai aaj mujhko
is liye yun hi sulagta man liye phirta main

khatam hoti nahin dikhti meri talash mujhko
jaane kyon is talash ko hoon itna chahta main
koi manzil nazar aati bhi agar kisi mod par
dekh koi aur sukha rasta pakad leta hoon main

nahin leta hoon udhaar kuch boonde asmaan se
jane kis guroor mein hoon aaj bhi yahan main
hai kabka sukh gaya ab to yah gala bhi mera
ab to khud ko bhi kuch nahin bolta hoon main

No comments:

Post a Comment