Sunday, May 6, 2012

dard ki talash mein

dard ki talash mein
ek umeed ki aas mein
main bhatakta raha
aye shaher, teri gali-oon mein

hasil kuch hua nahin
woh dil bhi mera nahin
main dhoondta raha
aye dard, teri gehraiyaan nahin

dhoondta hoon aaj bhi
gumaan kuch bacha abhi
main aage chalata raha
aye sadak, khatam tere modd bhi

kuch aur ab hai kahan
woh dard chupaa kahan
main talshata raha
aye dil, bata woh tanhai kahan

kahin kuch baacha hai
tabhi woh aaj dikha hai
main takata hi raha
aye zakhm, dekh yeh illaj hai

No comments:

Post a Comment