Saturday, May 5, 2012

kabhi unka ghar

kabhi unka ghar mere ghar se itna dur na tha
yahan se wahan ka safar bhi itna mushkil na tha

hum roz pahoonch jaate the dekhne unke dar ko
jab dar khula to wahan jaane ka honsla na tha

chote se raste mein pehle milte daraakht kai
jab duri lambi hui to wahan darakht bhi na tha

aage badd kar jab ek-aadh baat kari maine unse
jo khwab dekha tha kabhi ab woh khwab na tha

ek baar milkar unse mujhe yeh ahsaas ho gaya
woh shaks jo roz dikhta tha kabhi mera na tha

gir chala jab main sadak pe unke ghar ki aur
jaane kyon raaste mein ab woh modd hi na tha

dhondoon kis raste pe unke ghar ke modd ko
Shahar mein bin dekha to koi rasta hi na tha

ab nahin milta hai mujhko koi deedaad unka
shayad yeh saath unka bas ab yahin tak tha

No comments:

Post a Comment