Saturday, May 12, 2012

rail ka platform

engine se kichi khaali-bhaari kursiyon ka shahar
anginat daboon mein thuse hue logon ka shahar

anjaan chehroon ke mele sa lagta hai shahar
bheed dekh lagta hai platform pe basta shahar

kuch bazaar bhi hain yahan theloon se baane
aur paani ke us nal par aake rukta hai shahar

bas yeh shor-o-gul bahut hai yahan har jagah
ki yeh hai har samay bajaate bhopoo ka shahar

kuch log so rahe hain yahan par jaane kaise
yahan dekh lagta hai raat ko jagta hai shahar

yahan har taraf bas chahal pahal hai dikhti
daudti bhagti kuch laal wardiyoon ka shahar

kale coat ne chipka diya hai ek parcha kahin
usi parche pe bana bas kuch pal ka hai shahar

gaadi kuch paloon mein le gayi ujaad ke sab
ab platform pe nahin gaadi mein basta shahar

No comments:

Post a Comment