Wednesday, March 21, 2012

Main Musafir

main musafir, chalta hun rastoon pe yahin.
shaher milte hain in_hi rastoon pe kahin
bahut do-rahe aate hain mere safar mein
agar us raste ko roota to reh jaata wahin.
har baar chuna hai ek naya sa rasta maine
dekhta hoon shaher jo pehle dekhe nahin
kai baar mod mudd_kar mujhe le jate wahin
par main musafir kisi shaher rukta nahin

nikal aaya hoon carvaan se bhi dur kahin
yeh dasht aur asmaan saath chodate nahin
badaya tha haath maine to unki bhi taraf
par yeh tanha hain kisi se milte hi nahin
kuch dur hai nakhlistan is dasht mein bhi
kaun jaane woh doori koi saraab to nahin
main kyon soocho uske yun saraab hone ko
main musafir, dasht-e-saraab chodta nahin

main musafir kisi manzil ko talashta nahin
har raste se kyon naya rasta nikalta nahin
bahut ho chuka mera chalna bas char kadam
kyon do kadam aur chalkar kahin jaata nahin
thak_kar beitha aaj jaane kis liye main ab
kaise rukna hai yeh kisi ne bataya hi nahin
aaya hai saath dene dekho woh chaand yahan
chaand to musafir hai ek jagah dikhta nahin

main musafir dekhta hoon khwab safar ke hi
par har ek khwab safar mein badalta nahin
khwab kuch manziloon ke bhi liye hain maine
unmein se kuch manzilein kabhi dikhi nahin
yahan kuch safar aise bhi hue hain mere ki
safar aapni manzil par kabhi thamein nahin
badal jaati hai manzilein kyon nazdeek aakar
main musafir hoon is baar ki parwah hi nahin

No comments:

Post a Comment