Friday, March 30, 2012

raasta

main raasta hoon, rehta gumnaam anjaan ban kar
mud raha har mod par, chal raha hun toot kar

kisi makaan ruka nahin, koi meri manzil nahin
chal raha hoon main, bas kuch aur aage bad kar

guzar rahe log kai, karvaan mulkoon ke bhi
aur main doh raha hoon, sabko yunhi hans kar

Koi musafir chal raha mujhpar bahut der tak
maine na dil lagya kisi se, raha sabse kat kar

kuch rahagir aise bhi aaye jo ruk gaya sire par
badd diye woh bin mere hi, kuch der soch kar

bahut kum milte hain aise chalte musafir mujhe
jo badaein ek nayi aur, mujhe ek baar chodd kar

inhi gumnamoon se bani rehti hai hasti meri
warna yahan har koi chalta mujhe raund kar

raunda gaya hoon kaise Kapil aur kya bataoon
haath khali, paer challi, hoon  tadapta roz jal kar

No comments:

Post a Comment