Wednesday, March 28, 2012

batao yaroon

kashmaksh-e-hasti hai meri yaroon
main zinda hoon kaise bataoo yaroon

kisi baat ka mujhpe asar nahin hota
kahin se dhoond ke ahsaas lao yaroon

aawazein bahut sunta tha pehle kabhi
aaj tum hi mujhe awaaz lagao yaroon

yahan thi kabhi bahaarein hamesha
tum aaj ek phool to dikhlao yaroon

kisi madhoshi ne mujhe to behosh kiya
kisi tarah se mujhe hosh lao yaroon

gaya to kahin bhi nahin main pehle
phir kyon main aaj gum gaya yaroon

kaun rasta jaata mere makaan ki aur
koi to batao mujhe mera pata yaroon

khandhar yahan beshumaar hain yaroon
koi to batao kahan mera ghar yaroon

No comments:

Post a Comment