Friday, March 23, 2012

aaj sansein

aaj sansein leta hoon main bahut sooch kar
kuch adhura sa hai, mera kuch khoya sa hai
talashta kya hoon yeh main hi nahin janata
aye zindagi tu bata, mera falsafa kya hai

aaj nahin aata ankhoon mein woh khwab mera
kahin dushman koi to meri neend ka bhi hai
poochoon kis se main aapni tamanna ka pata
aye mere dil tu hi bata, ab chahata kya hai

aaj ruk jata hai dil bhi dhadakte dhadkte
kasoor ismein bhi issi kambhakht ka hi hai
kyon sab khwahishoon ko dafn kar jata yeh
aur kahin jalata mere banaye makaan ko hai

aaj jalta woh makaan mere to tamasha dekho
ye jalte makaan aansoon se bhujte kahan hai
hoon baitha main kuch duri pe is manzar se
batao jali zameen pe aashiyan banta kahan hai

aaj khaak bachi bas mere dil ki jahan dekho
khaak mein koi naya shola sulagta kahan hai
hoon ek muthi bas issi khaak ki liye beitha
daalun kahan isse main, bata ganga kahan hai

No comments:

Post a Comment