Monday, March 19, 2012

aaj phir kyon

aaj phir kyon teri yaad aayi hai
door tak sayoon se bhi judai hai
char din mein barsoon tanhai hai
zamaane mujhe kya saza sunai hai

dekh leta tha tujhe bas do ghadi
aaj us ghadi ki mujhse ruswai hai
kyon main hoon tanha yahaan itna
jaane kis gunah ki saza paayi hai

saza milti hai gunahoon ki sabko
mujhe kis gunha ki saza sunai hai
ibadat karta tha main bas teri hi
phir bata kyon tujhse hi judai hai

pochon kaise ab tujhse bata mujhe
yahan meel-o-meel reit sajai hai
tamanna dil ki kab_se dabai hai
aaj phir kyon teri yaad aayi hai

No comments:

Post a Comment