Saturday, March 24, 2012

aaj mil kar un_se

aaj mil kar un_se main pareshan kyon hun,
zindagi hai woh meri, par tanha main hun

main haath badaata raha, aur woh badate gaye
bas khali hateliyan liye wahan pada main hun
woh thaamte nahin hain yeh rukhe se haat mere
phir unke inteezar mein, main tadapta kyon hun

aaj mil kar un_se main pareshan kyon hun,
zindagi hai woh meri, par tanha main hun

kaise poochun unse yahan meri hasiyat kya hai
unki betarafdari se aaj yahan darta kyon hun
kyon woh dekhkar bhi nahin dekte kabhi mujhko
aise andekhe kiye jaane se kuch darta main hun

aaj mil kar un_se main pareshan kyon hun,
zindagi hai woh meri, par tanha main hun

hain khile fool kis jagah, aaj tum unse poocho
failii unki khushbu, par is_se mehrum main hun
is rangat ki tareef sunta hoon main roz yahan
par ab bhi main unke rangoon se durr kyon hun

aaj mil kar un_se main pareshan kyon hun,
zindagi hai woh meri, par tanha main hun

utarta nahin hai ab halk se mere nivaala koi
is bahar mein bhi, paani ko tarasta main hun
kaise kahon le aayo mere liye ek faanki tum
tumhare haath mile zahar ko tarasta kyon hun

aaj mil kar un_se main pareshan kyon hun,
zindagi hai woh meri, par tanha main hun

No comments:

Post a Comment