Tuesday, March 27, 2012

boond ka safar

hoon chala main yahan se ab mit ke
mujhe rokna na kissi tarah pakad ke

na aaonga main yun tere haath kabhi
kya milega mujhe kahin baandh ke

tha hissa kabhi baraf ka shikhar ka
badta hoon manzil ki aur pighal ke

raste mein pathar the, pahad the
rondta nikal gaya unhe tarash ke

jahan zameen thi, sukhe khet the
main chal diya wahan use seench ke

milein kitane humrahi, humraaz mere
rukke bina baat kar rahe kalkal ke

hua tha jab adheer sa, bechain sa
mita gaya kyon batiyan ufaan ke

dikha dur makaan mere, manzil meri
main kyon chal raha ruk ruk ke

mila hoon manzil se samandar se
kisse boond ke yeh uske safar ke

No comments:

Post a Comment