Tuesday, March 27, 2012

aye dil tum kyon

aye dil tum kyon seene mein kashish rakhte ho
mujhe barbaad kar, kyon shahar aabad karte ho

aashiyane bahut dikhate hain banate hue yahan
tum in ashiyanoon pe nazarein hazar rakhte ho

dekh lo kahin ho na jaye dil barbaad phir koi
tum aabad dilloon mein makaam kamaal rakhte ho

ab dil keh raha hai na choddna tum uska saath
saath nibhane mein kyon nakhare hazar karte ho

yeh koi brahm nahin meri, haqqiqat-e-bayan hai
tum to jaanaza thamane kandha aur dhoondate ho

aaj to mar gaya Kapil phir bhi kya sochate ho
jashn manao, kyon dikhakar maiyat mein rote ho

No comments:

Post a Comment