saans lene ka jazbaa bacha hai
ab jeene ka woh saaz chidha hai
na ruka kisi ke liye bhi ab main,
zindagi tera muskurana bacha hai
jitna bhi ho magar yeh faasla hai
ab ki baar woh bhi kuch chala hai
na dagmaaga aye kadam mere
abhi zindagi ka milna bacha hai
zamaana aaj saath khada hai
dekh tujhe aaj woh ji utha hai
na parda kar ab aapne dil se
zindagi ka vakya abhi bacha hai
yehi meri saans ka theharna hai
yeh dil ka mere aah bharana hai
na rok ab kadamon ko tu mere
zindagi tujhe jeena baacha hai.
No comments:
Post a Comment