Tuesday, July 26, 2011

pukarta main hoon

pukarta main hoon phir bhi woh aata nahin
aur idhar dariya-e-waqt hai jo rukta nahin

ki meri marzi pe kabhi woh but chalta nahin
aur yeh butkhana hai jahan koi therta nahin

hai tang to ab yeh dil-e-makaan mera nahin
aur phir bhi kyon ismein tu samata nahin

kaun sa dariya hai jo dhoondta samandar nahin
aur milte kissi ko beech dariya kinare nahin

utara main is ufan aaye paani mein yun hi nahin
aur yeh nadi hai ki mujhe us paar le jati nahin

aise hi ban jaata hai but, but ka malik nahin
aur yun hi sabhi ek but ko khuda kehte nahin

No comments:

Post a Comment