Saturday, July 23, 2011

khwahishoon ka hujoom

na milta kabhi mujh se woh, phir bhi intezaar rahta hai
ruswa rehta is dil se woh, phir bhi iktiyaar rakhta hai
ek nazar dekhe bina bhi, khwaboon pe raaj karta hai
mujhe bin kuch bole hue bhi, baat har baar karta hai

shabnam ki boond sa woh, subah aise hi dikhta hai
poonam ke chaand sa woh, har raat hi guzaarta hai
aapni zulfoon ke saaye se, dhup se parda karta hai
aagosh mein chupa kar, har dard se dava karta hai

jaane kitne fasaale hain par, tasavur ki fariyaad karta hai
uffanoon pe naadi hai par, use paatne ki baat karta hai
nadaan chahtoon bhara dil, aaj jeene ki baat karta hai
aur khawahishoon ka hujoom, marne ki baat karta hai

No comments:

Post a Comment