Saturday, July 23, 2011

Ek saans bhar

ek saans bhar hi to hai,
yeh koi aah to nahin
thodi si theahari hi to hai
par abhi tooti to nahin

ke hai tasaavur ki chaaha
par irada-e-chashm to nahin
yeh hai dil-o-gaam ka kaaha
kisi puje pathar ki lakir to nahin

hai yeh sadiyon ka gubaar
par mera yeh dard to nahin
yehi hai ubharta hubaab
phir yeh phata-ta kyon nahin

aur kitna teri hasti ka kahar
ki mile kisiko sakine to nahin
sataye jitna bhi yeh shahar
phir bhi yeh sarakta to nahin

ruh bhi kisiki na rahi ae Maula
ab yeh teri panahgaar bhi nahin
jaati rahi woh jab bhi maulvi bolla
ki kisi ghutaan mein main kaid to nahin

pat-jhad main phool na lage,
ke khizan koi baghban to nahin
yeh kashti is sahil se ab kaise nikale
ki main yahan koi baadbaan to nahin

Kapil Bajaj

No comments:

Post a Comment