Friday, July 29, 2011

Humein wahan gaye

humein wahan gaye zaamana beet gaya,
aur yeh khabakht dil phir kahin na gaya
us gali mein kabhi na tha aisa kuch
na jaane wahin ka kyon khawab reh gaya

na koi bagh, na hi koi hai baghbaan
phir bhi phool bas wahin khil gaya
bas unchi deewaroon ke makaan hain
aur dil baache sa fudakta reh gaya

ki do kadam aage chodne ko kya kaha
yeh dil us pal dhadakna bhool gaya
saath chal ke to gaye char kadam
par woh zar usi zare main reh gaya

aaj bhi hai woh char kadam ka saath
bas woh jazba ab kahin aur kho gaya
hai aftab bilkul upaar aaj to mere
par mera woh humsaya gum ho gaya.

No comments:

Post a Comment