agar hoti yeh tamanna saab chahtoon se badi
to na koi had hoti, na koi nishaan hota
aur hum kehte nasihoon se mat aa, ki
na woh aarzoo hoti, na woh ruswa hota
humne safar to bahut se kiye hain lekin
manzil tab milti, jab raah mein jasbaa hota
taraste aa rahe, is registan se bhi hum, ki
pyaas tab bhujti, agar raste mein dariya hota
manzar bahut dekhe hain humne doobne wale
samaate hum tab, jab koi samandar mila hota
zahar pade hain zindagi mein peene wale
nigalte hum sab, agar saaki ne pyaala diya hota
chale to gaye hain saathi door sabhi, ki
aye dost, kissi khwab mein to kabhi mila hota
hain maut ki ladai mein yahan to sabhi
maarta main bhi, agar zindagi ko jiya hota
Kapil Bajaj
No comments:
Post a Comment