ki na laga guhaar, kahin woh kafir sun na le,
ki na bayan-e-dil, kahin woh nasuur na kar de.
aye raqs-e-gumaan, itraa na tu ab kuch aur,
ki yeh waqt hai, kahin woh zammin na kar de.
aaj ahsaas hai, to yeh zahan mein bhar le,
aaj hai aks yahan, to mere bagbaan mehka de.
aye gulfoosh mere, itraa na tu ab kuch aur,
aaj upar shabnam hai, to aftaab bhi aag na de.
yeh ravangi hai, tujhe kafir madhosh na kar le
yeh divangi hai, tujhe woh ab kahin bosa na de
aye kushbu-e-hubaab, itraa na tu ab kuch aur,
yeh aandhi hai, tujhe is jahan se pura na kar de
No comments:
Post a Comment