Saturday, October 12, 2013

tujhe dekha nahin

tujhe dekha nahin chahaa to hai
aye dil tujhse ek honsala to hai

hai tu aaj saath nahin to kya hua
tere hone ka mujhko aasra to hai

nahin mila tujhse main aise kabhi
par tere ahsaas ka ek lamha to hai

talashta tujhe shahar-dar-shahar
tere pata nahin par wo mahak to hai

hoon dur teri zulfoon ki chaanv se
paas us chaanv ki ek raat to hai

roz bhigata hai yeh sirhana yunhi
isne sanjoya aas ka samandar to hai

yun to zinda raha main tanha aise
par tanhai mein teri ek yaad to hai

sulag rahi hai is raat tanhai ab
is mein kahin jalta jigar bhi hai

na tarsa aye dil tu mujhko 'Kapil'
har daras ki koi intihaan to hai

No comments:

Post a Comment