Thursday, October 17, 2013

is baar milein to

is baar milein to daur-e-mehfil ho jaye
shaam saath beithein aur saharr ho jaye

apni guftagoon ke daur yunhi chalte rahein
din-ba-din guzare raat-pe-raat ho jaye

bahut rehh chuke tanha hum to tere begair
ab tere saath baaki bachaa safar ho jaye

har kadam ki kahani, kissi aur ki zubani
isse behtar apna hi haal-e-bayaan ho jaye

bahut sambhala hai in yaadoon ko maine
aaj guzare lamhoon ke saath jaam ho jaye

na khatam ho~n baatein, ye bayaan apna
aur zulfoon ki chaanv mein raat guzar jaye

hai haal bayaan karna tumhe ek umr ka
is mein shayad zindagi ki shaam ho jaye

na bache koi baat, koi lehza, koi dard
issi mehfil mein Kapil tamaam ho jaye

No comments:

Post a Comment