Saturday, October 12, 2013

dard kabhi seene mein

dard kabhi seene mein aisa nahin tha
tere dar se faansla apna itana nahin tha

kuch umeed thi baaki milane ki mujhe
shahar se dur haqiqat ka saamna nahin tha

tang hain gaaliyaan aur tang darwaaze
magar tang itna tere makaan yehto nahin tha

aaj tum mujhse milne aise aaye ho goya
ki apne darmiyaan koi marasim hi nahin tha

bas kuch lamhoon ki duri ka aisa asar
shayad darmiyaan wo jasba mohobatt nahin tha

tum jaate hue kuch muskarte ho aise goya
humara tumhara dard ka daman bhara nahin tha

kuch aansoon tapke dono ke mud_ne ke baad
par haath bada paunchane ka haunsala nahin tha

tum bhi sisak rahe ho, meri hi tarah kuch
par wajah poochane ka koi haq bacha nahin tha

adhoore khwab, adhoori umr liye zinda hain
'Kapil' is bayaan ko pura karne ka irada nahin tha

No comments:

Post a Comment