manzil ki talash mein hum sab manzar bhool gaye,
jaane kitane dost, anjaan musafir ban chut gaye
jahaan milte the kabhi gul-gulshan hanste hue
waqt ke saath kaise yeh manzar bhi badal gaye
hai safar tanha aur waqt saath ho kar begaana
waqt ke peeche daudte-daudte, lamhe khote gaye
ungaliyoon pe ginata hoon saheje lamhoon ko ab
ki mere sanjoye khwab bhi ret jaise fisalte gaye
khada hoon aaj bhi wahin par khali haath liye
bas waqt ke thapede is chehare ko badalte gaye
aaine mein bhi anjaan sa chehara nazar aata hai
kab kaise is safar mein khud se bichadte gaye
fir talashna chahta hoon main khud ko aye jahan
par bhatakta musafir keh kar kafile guzarte gaye
'Kapil' hai har dagar anjaan yahan to kya kijiye
yeh suhana manzar hai, yehi soch hum jeete gaye

No comments:
Post a Comment