Monday, October 14, 2013

kis baat pe saath chodd gaya woh

kissi ek mod par bichad gaya woh
kissi manzar par saath nahin woh

hain kuch yaadein sath hardum uski
par zindagi se kyon dur gaya woh

thi likhi saansein sab naam uske
par nayi saansoon se ruth gaya woh

har mod pe rukkar ab dekhta hoon
shayad kissi aur se ab aajaye woh

har manzil ki hoon khaak chaan_ta
kissi dagar se pahoonch jaaye woh

paati nadiyaan, paate kai sagaar
par kissi se kashti nahin aaya woh

laut aaya phir is shahar ko main
par yahan pe milne kahan aaya woh

hoon khada uski gaali mein main
par is gaali se bhi kahin gaya woh

ruth gaya hai woh mujhse tujhse
'Kapil' chala gaya ab na aaya woh

kufr kya tha mere kaun batlaye
kis baat pe saath chodd gaya woh

kis baat pe saath chodd gaya woh
kis baat pe saath chodd gaya woh

No comments:

Post a Comment