kyon poochta hai woh, ki uske begair mera kya hota
jo woh hota to kya hota, jo na hota to kya na hota
hai dard aaj dil mein bahut uske, hone, na hone ka
kaise kehdein, ki woh dard-e-dil bhi kuch aur hota
kab se khel raha hai, khilona baana_ke woh mujhse
agar woh ub jata, to main kissi tokar pe pada hota
hai yeh ek aacha bahana, ke yeh to bas aada hai uski
na milta mera nishan, agar maine aisa kuch kiya hota
roz sochata hoon, poochunga uske aisa hone ka sabaab
milke soochta hoon, kaash mujhe bezubaan na kiya hota
hai aisi kaisi yeh hasti uski, ya hai sirf yeh khayal mera
agar wahan koi aur hota, main yun barbaad na hua hota
ab bahut karta hoon jadojahad, jeene ki har_roz main
kaash usne kabhi, yeh barbaad haal mere dekha hota
No comments:
Post a Comment