Monday, November 7, 2011

khata

khata kar kar bhi humein, khata karna na aaya
aye zamaane, humein tera saath nibhana na aaya
kyon deita hai tohmat aaj befai ki woh mujhko
kasoor itna hai apna, ki bas wafa karna na aaya

hoon tanha bahut is diloon ke bazaar mein main
dost tha jo mera, phir kabhi mere paas na aaya
tamasha bana diya hai aaj is zamaane ne mujhko
log jamaa hai, par dekhne mera yaar hi na aaya

jaane kab se liye phirta hoon main bhooj tera
bhaar dekh kar, haath batane koi nazar na aaya
daba jaata hoon is mitti mein aaj to aise main
jaana chahoon bhi to, jad ne saath na nibhaya

bataoo hai kaun darkht jo chal deta jad sameet
dekh raha raah kab se par koi lakadhara na aaya
mujh darkht ki yahan khade ab umr ho chali hai
chaaon dene ke liye, pata koi ek naya na aaya

hai aayi bahar is chamaan mein to kabse magar
hawaoon mein mera woh ek jhoonka ab tak na aaya
ya rab, jaane kya hai ab ke baras uske man mein
kaun jaane is baras, woh zarr bahar kis aur laya

1 comment: