Thursday, November 10, 2011

aasman se

aasman se gira hoon, mujhe chalna nahin aata
tuta ek gila pata hoon, mujhe jalna nahin aata

sulag raha hoon, aaj aapne hi is bhare man se
kya karoon main, mujhe chalakna bhi nahin aata

uthaye firta hoon, aapne zameer pe bhoj kitne
bezubaan hoon, mujhe to aaha bharna nahin aata

safar mein hoon, bina kuch aapne paon mein dale
ab karaoon kyon, mujhe kante chunana nahin aata

fansala to tha, do-char kadamon ka aapne darmiyan
aata main kaise, mujhe aag se guzarna nahin aata

thaamein betha hoon, un beite dino ki yadoon ko
kya karoon main, mujhe aaj mein jeena nahin aata

kal nikala tha, ghar se tan ke, sar ko uthaye
rab main jhukta kaise, mujhe mangana nahin aata

No comments:

Post a Comment