Saturday, November 12, 2011

in lamhoon ka

in lamhoon ka inteezar jane kab khatam hoga
mehboob ke mathe pe jab sajan ka naam hoga

sajaye betha hai kuch paton ke lahu ki fanki
us haath par likha kahin sajan ka naam hoga

milla hua hai zari mein uske kuch chandi sona
kissi ne bunna us_se aapne dil ka pegaam hoga

maala phoolon ki liye khada hai betaab dekho
in phoolon se bhi kabhi koi gulshan saja hoga

chuut rahi hai beeti umr padate lavo_on ke saath
babul ne dil thame uski umr ko hote dekha hoga

dekho jal rahi hain vedi pe aaj lakdiyaan kai
un sookhe tookdoon ke liye kuch ped kata hoga

uthaye khade hain doli dekho sab bhai yahan
is doli mein bhu kitanee aansoon ka mol hoga

dard, khushi, dua sab ek saath hai aaj dekho
jane kaise zindagi ko mehboob ne sajaya hoga

No comments:

Post a Comment