jo milke bhi na mile woh, yeh kaisi meri saza hai
kabhi ruthna, kabhi maan jana yeh unki aada hai
waqt bewaqt sapane sajana, yeh kaisi khata hai
kambhakht waqt dard hai, kambhakht waqt dawa hai
kaisi basti hai ye ki har chirag tale andhera hai
yahan jalna sazaa hai aur bujh kar mitna bura hai
chale aao ki ujadi kuch tang galiyon ka rasta hai
yahan thehrana buraa hai, yahan se guzarna mana hai
aaj nikal un galiyon se ghar, koi milne aayaa hai
duniya se be_parwah, uthi ungaliyan saath laya hai
kuch to nayi tohmaat aaj meri hasti pe lag rahi hai
meri basti ki yeh ek aag mera daaman jala rahi hai
batao bujhaon kaise, yeh mere dil ki aag jal rahi hai
mohobaat jal rahi hai, kuch diloon mein sulag rahi hai
No comments:
Post a Comment