Tuesday, November 29, 2011

aaj mila hun...

aaj mila hun
to yeh ahsaas hua hai
tere siwa mera
na koi aur hua hai

do char ghadi
tu aa beth mere paas
issi lamhein mein
tera deedar hua hai

na dekhoon use
to main jeeyon kaise
uske begair mera
ab kya hashr hua hai

bulaoon kaise
jagah kam hai aapni
ki tang makaan
mein basar hua hai

milta hoon to
main kinara karta hoon
beech nadi Kapil
tera talabgaar hua hai

koi kehde kafir
to yakin kaise karte
tere siwa mera
na koi khuda hua hai

aaj mila hun
to yeh ahsaas hua hai
tere siwa mera
na koi aur hua hai

No comments:

Post a Comment