Saturday, July 27, 2013

kuch to nigah mein

kuch to nigah mein surur sa rehta hai
woh aajaien to beemaar-beemaar kahan rehta hai

rivayat hai shayad dillagi mein satane ki
wagarna kaun kambhakt hans kar yeh sehta hai

poochane par kuch bayaan nahin karta
aur na kar bayaan woh bahut kuch sunata hai

hai mohobaat to yeh keh de deeda-e-dil
woh dekhein ki tu haal-e-dil kaise sunata hai

hui mudatt tere alfaz sune hue aye-dil
kis baat ka shikwa, jo tu humse ruth jaata hai

hai teri hi inayat mujhko yahan Kapil
is liye to yeh butt aaj bhi zinda kehlata hai

1 comment: