Sunday, July 14, 2013

tum nahin aate

tere intezaar mein hoon aur tum nahin aate.
beet jaate hain sab lamhein tum nahin aate

bahut sataya hai aane ka ik waada kar ke
ab jaan gaye ki wada karke tum nahin aate

bahut aate tumhare khwab par tum nahin aate
beet jaate saal dar sal aur tum nahin aate

kai baras beet gaye teri rah ko takte hue
ankhein thak jaati hain par tum nahin aate

so~un bhi to kaise tere is inteezar mein
ek baar jo guzare tum, phir tum nahin aate

jaagi sab ratiyan bas yehi sooch kar maine
ki na ho koi bahana, tab bhi tum nahin aate

aur kya jatan karoon tumhe bulane ka main
Kapil saans jaati hai aur tum nahin aate

No comments:

Post a Comment