barse megha, chaahi ghata,
sajan tum kyon milne na aaye
bheega mann, bheega chitwan
aur jiya mora tarsat jaaye
teri aas karoon main beithi
sajan tum kyon milne na aaye
beeta sawaan, beeta bhadoon
aankh ka saawan roka na jaaye
main hoon usi mod par khadi
sajan tum kyon milne na aaye
sukhi shaakh, girte paate
patjhad bhi tanha beeta jaaye
aas rahi sukhe pedoon beech
sajan tum kyon milne na aaye
silli lakdi, silla sa mann
dhun-dhun ke jalta hi jaaye
beeti sardiyan tanha hi meri
sajan tum kyon milne na aaye
beeta basant, aaya phaagun
holi rangoon ki baraat sajaye
har rang mein tujhe dekhoon
sajan tum kyon milne na aaye
tapti dharti, jalta mera mann
sab aas par sawaal uthayein
ladoon jag se tanha tere liya
sajan tum kyon milne na aaye
barse megha, chaahi ghata,
sajan tum kyon milne na aaye
sajan tum kyon milne na aaye
bheega mann, bheega chitwan
aur jiya mora tarsat jaaye
teri aas karoon main beithi
sajan tum kyon milne na aaye
beeta sawaan, beeta bhadoon
aankh ka saawan roka na jaaye
main hoon usi mod par khadi
sajan tum kyon milne na aaye
sukhi shaakh, girte paate
patjhad bhi tanha beeta jaaye
aas rahi sukhe pedoon beech
sajan tum kyon milne na aaye
silli lakdi, silla sa mann
dhun-dhun ke jalta hi jaaye
beeti sardiyan tanha hi meri
sajan tum kyon milne na aaye
beeta basant, aaya phaagun
holi rangoon ki baraat sajaye
har rang mein tujhe dekhoon
sajan tum kyon milne na aaye
tapti dharti, jalta mera mann
sab aas par sawaal uthayein
ladoon jag se tanha tere liya
sajan tum kyon milne na aaye
barse megha, chaahi ghata,
sajan tum kyon milne na aaye
Beautiful ...
ReplyDelete