zikra tera to mehfil mein kai baar aaya
tanha humein bhi woh saath yaad aaya
chalein hain us majlis se door hum
ab charche ke baad na koi khayal aaya
kyon khadda hai falak ke paar bhi tu
ke zameein se tu mujhe nazar na aaya
khadaa hoon jaab nazar mein teri main
zameen ka ek taar bhi ab nazar na aaya
Zikr tera to mehfil mein kai baar aaya
tanha humein bhi woh saath yaad aaya
nahin hai mudatoon ka fassala to yeh
tab bhi beech mein gehara dariya aaya
pathar ho chala tha yeh jigaar mera
phir is mein doobara tere khayal aaya
Zikr tera to mehfil mein kai baar aaya
tanha humein bhi woh saath yaad aaya
tujhmein humne aapna gumnasheein paya
gum aaya, jab bhi tere yeh khayal aaya
gumnisaar mere tu hai yeh kaisa saya
jo kabhi bhi mere saath yahan na aaya
hai kapil ab yeh kaisi bandagi teri
jahan tu gaya, wahan woh kabhi na aaya
Zikr tera to mehfil mein kai baar aaya
tanha humein bhi woh saath yaad aaya
V good sir
ReplyDeleteThx Deepak
ReplyDelete