Saturday, August 13, 2011

Ki na de mujhko

ki na de mujhko tu nazaroon se daga
kahin main khud ko na bhool jaoon
aye dost na mil mujhse tu kabhi ab
kahin main phool sehrana bhool jaoon

hai mujhe aapne khwaboon pe guman
chahta hoon ki main unhe jee jaoon
aaj mujhko hai udane ka woh jazbaa
socha kisi parinde ki tarah tur jaoon

hai hawa aaj bahut hi sard magar,
Chaha hai ki uski taraf daud jaoon
kahin door aaj bhi hai tu mujh se
kyon na aabhi tujh mein sama jaoon.

No comments:

Post a Comment