Friday, August 12, 2011

Jagah...

jagah to bahut hi hai aaj aapne paas
par nahin milta mujhko samandar mera
bhatakta hoon khojte jane kahan usko
dikhta hai mujhko bas wahi sahil mera

beet jata hai waqt yun hi har kissi ka
par kyon thama hai aaj yeh dariya mera
phiki muskanoon ko kar thak gaye hain
aaj kahan hai woh gum jalwa-e-ishq mera

chaatien to bahut deta hai shahar mujhko
par abhi bhi toh gum hai woh asmaan mera
aaj khada hoon intezar mein aise uske, jab
na marzi hai meri, na hi hai ikraar mera

No comments:

Post a Comment