Saturday, February 2, 2013

kis se kahein

kis se kahein, kaise kahein ki dil todd diya
bas mere hone ne mujhe tanha chodd diya

na aayi koi aawaaz ae jahan teri koi mujhko
aur maine yunhi tanhai se marasim jodd liya

hai koi baat to sahi in dar-o-deewaar mein
har shaks chod gaya aur inhone saath diya

aaj bhi gunjaatein hain mere veerane in mein
aur eet-dar-eet inhone mujhe aabaad kiya

kaise chodd doon main yeh makaan bolo
yahan ke har pathar ne to mera saath diya

hoga bewafaa yeh shahar auroon ke liye
tanhai mein to iske veeranon ne saath diya

aaj aaya hoon bhaag jahan se phir main
aur Kapil isne khuli bahoon se samet liya

No comments:

Post a Comment