Thursday, February 14, 2013

ab tak

maine dekhi hai teri raah jaag kar ab tak
aur dil ki baat kahi tere ahsaas se ab tak

ek tu hai jo mujhse yun chupta rehta hai
warna kya hai jo na mil saka mujhe ab tak

aaj soocha hai na soochoon tere baare mein
par dhyaan mein raha bas yehi khyaal ab tak

kaise keh doon ki maine tujhe soocha nahin
jab mere brahm se zinda yeh khayal ab tak

tere khyaal ko lekar bata main kahan jaaon
khafa hai shahar is baat pe mujhse ab tak

agar yeh hahar hi hota to 'Kapil' seh leta
par yeh dil hai, teri berukhi sehta kab tak

No comments:

Post a Comment