Saturday, February 2, 2013

jahan bhi dekha hai

jahan bhi dekha hai, bas wohi rukhsaar dekha hai
apne zahan mein maine tera nishaan dekha hai 

Hai haal aisa ki na pooch tu yeh chaaragaar mere
jisne dekha hai usne hi marz ka naam poocha hai

kya naam doon isse, tu kyon yeh batata nahin
har marz ka duniya ne koi na koi naam rakha hai

hai la-illaz jo yeh marz to bhi tu yeh bata mujhko
kaun jaane is but ka marna, tere haath likha hai

na kar aur der tu yeh bayaan karne mein 'Kapil'
kahin aisa na ho duniya kahe, beemar aacha hai
 

No comments:

Post a Comment