Friday, September 16, 2011

Saath ho kar...

saath ho kar bhi woh mera na hua
kafir main khuda ka na hua

Zid karke hamesha saath rehne ki
aaj woh mere rubaru na hua

chala tha ghar se doosri aur main
door mujhse ghar phir bhi na hua

karta gaya roz khata pe khata main
aur kabhi woh zalim ruswa na hua

aaj biyan kiya jo izhaar usse
baada aage jaise main hi na hua

dosti ka har dum dum-bharke
aaj woh mera gumnashin na hua

deta hai saaza mujhko woh
gunah waisa kissi se na hua

jal ke jalwa dikha chuka hoon
chirag phir bhi mera na hua

tu chirag-e-jashan manata hai aise
ki din mein kabhi aftaab na hua

aur hai raat ka charcha aisa
ki kabhi chand ka bhi na hua

badalte dekha hai aise rang uska
kabhi aisa kisi shaam ka na hua

No comments:

Post a Comment