mann sada se uljha rehta hai
yeh kagaz kyon safed rehta hai
rishton ki is udher bun mein
dil apno se kyon juda rehta hai
man sada se uljha rehta hai
yeh kagaz kyon safed rehta hai
karta hoon jatan main har din
jane kyon kuch kum sa rehta hai
har pal ki is kasmakash mein
neend ka pal kyon dour rehta hai
man sada se uljha rehta hai
yeh kagaz kyon safed rehta hai
hai ab raat ka sannata to yeh
shor dil mein kyon goonjata hai
aaine ke samane ki pahal se
yeh lab ab kyon chup hota hai
man sada se uljha rehta hai
yeh kagaz kyon safed rehta hai
tej daudati in dhadkano mein
jwar bhata ab kyon uthata hai
pehle baras chuka yeh badal
kyon aaj phir se garajta hai
man sada se uljha rehta hai
yeh kagaz kyon safed rehta hai
bolne ka dar to kab se hai
par likhane se kyon rukta hai
man sada se uljha rehta hai
yeh kagaz kyon safed rehta hai
No comments:
Post a Comment