Sunday, March 23, 2014

nazar aata hai

jidhar dekhoon, wahin ek manzar nazar aata hai,
kahin jungle, kahin pahad, kahin sagar nazar aata hai

chand lamhein fursat ke, yeh sard dhoop ki tanhai
is tanhai mein, aaj bhi saath tu hi nazar aata hai

har nafas, har saans, har lamha likha hai naam tere
aur ek tu hai, jo veeranoon mein dil laga aata hai

hai milna tera-mera, ab bas har baras pal do pal
phir kyon tu mera, wahi humraaz banke aata hai

bahut chaha maine, aye dost, ki bhool jaoon tujhko
par har thokar pe, sambhaane tera haath nazar aata hai

ab thaak gayi hoon main bhi, tere hi inteezar mein
aur ek tu hai jo har baar isse hans ke taal jata hai

teri yeh berukhi bhi rahi, mujhe gawara ab tak
Kapil ab to bata tujhe aage kya nazar aata hai

No comments:

Post a Comment