Saturday, December 21, 2013

adh-khuli ankhein

adh-khuli ankhein,
laheroon ka shor
meel-oon-meel samandar
dur ek kiran ki doar

aadhe-adhoore khwab
apni tanhai ka saath
pichali raat ki baat
unke haath mein haath

kuch kahi-ankahi baatein
aur ankhoon ki barsaat
un ankhoon ka milna
woh khamoosh mulakaat

kuch kadam chale hum
aur kuch pal ruke the
tere pehlu mein hum
guzara waqt bhule the

par woh kal ki baat hai
aaj purvai ka saath hai
aaj is dagar pe dekho
aftaab bhi saath hai

hai samandar to wahi
par yeh roshni hai nayi
kal ke parinde laut gaye
aaj chah-chahat hai nayi

baith jaata hoon kinare
ke yeh manzar hai wahi
jo adhoora khwab dekha tha
yahan shuru hota hai wahi

No comments:

Post a Comment