Saturday, June 29, 2013

kuch bhi nahin

jaane se use to kabhi maine roakaa hi nahin
aur usne mudake dubara mujhe dekha bhi nahin

tha masslla bas guzari hui us ek hi raat ka
jiska usko aur mujhko to koi ilmm bhi nahin

phir kyon hua hai yeh ruthana aapna bewajah
jab uske siwa apna to koi saani bhi nahin

aaj kyon lagta hai duriyaan hain umrr ki, jab
darmiyaan apne to tha koi fansaala bhi nahin

sulag raha hoon main, siski uski aayi kahin
apni yeh zidd hai, jab haqqiqat kuch bhi nahin

bahut badnaseeb hai 'Kapil' tu aaj dekh le
jeet kar bhi tere paas aaj kuch bhi nahin

No comments:

Post a Comment