Thursday, May 9, 2013

kya hota hai

kya hota hai shab-e-hijr jo roz hota nahin
bastiyaan kahin ujadi hai aur koi rota nahin

aaj dafn hua ek khawab to kyon ghabra gaye
yahan qafile gum jate hain aur koi rota nahin

betahasha chaaha tha tumne use to kya hua
koi zaraa wahin ka wahin to kabhi rehta nahin

faqat chand lamhein hain jo guzar jayeinge
par har to in lamhoon ko koi bhi ginata nahin

main to raha ginata bas inhi ko har roz Kapil
par aisa kaun tha jo ginte ginte finsala nahin

aaj bhi khada hoon main bas khaali haath liye
us paar se to koi kabhi haath pakadta nahin

No comments:

Post a Comment